Shehr-e-dil ke galiyoon main
Shaam say bhatak'tay hain
Chaand kay taman'naii
Bay'qaraar sodaai'ee
Dil gudaaz tareekii
Jan gudaaz tanhaii
Rooh-o-jaan ko dustii hai
Rooh-o-jaan mein bastii hai,
Shahar-e-dil ke galiyoon main
Taar-e-shab ke bailoon par
Bay qaraar logoon nay
Bay shumaar logoon nay
Yaad'gaar choori hai
Itni baat thoori hai ??
Sa'd hazaar baten theen
hela-e-shakeebaaii
Suuratoon kii zay'baaii
Qaamatoon kii ra'naaii
In siyaah ratoon main
Ik bhi na yaad aayii
Ja baja bhataktay hain
Kis kii raah taktay hain
Chaand kay tamannaaii
Yeh nagar kabhi pehlay
Iss qadar na viiraan tha
Kehnay walay kehtay hain
Qaryaa-e-niga'araan thaa
Khair apnay jeenay kaa
Yeh bhi aik zamaana tha
Aaj dil mein viiraani
Abr ban kay ghir ayii
Aaj dil ko kya kahiyeah
Be wafa na harjayii
Phir bhee loug divaanaay
Aa gaey hain samjhanay
Apni wahshaat-e-dil kay
Bun liyeah hain afsaanay
Khush khayaal duniyaa nay,
Garmiyaan tu jaati hain
Woh rutaain bhi aati hain
Jab malool ratoon main
Dostoon ke batoon main
Jee na chain paye ga
Aur doob jaye ga
A'ahatoon say gounjay gee
Shahar e dil ke penhayee
Aur chaand ratoon main
Chandini kay shaydayee
Har bahanay nikllain gay
A'azmanay niklaain gai
Dhoondhnay ko ruswayee
Sard sard ratoon ko
Zard chaand bakhshay ga
Bey hisaab tanhaii
Bey hijaaab tanhaii
Shaahar-e-dil ke gailiyoon main.....!!!
Tuesday, May 12, 2009
Chaand kay tamanaee
Labels:
AANSOO,
CHALI JATI HAY,
CHAMAN,
DASHTI,
GALIYOON MEN,
SEHRA NASHEEN,
SHEHR-E-DIL,
TEHREER
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment